Animal Farm (1954) jab CIA ne is animation propaganda banaya tha”

animal fram

Animal Farm (1954) jab CIA ne is animation propaganda banaya tha

Overview
1954 mein banne wali animated drama film Animal Farm ka direction John Halas aur Joy Batchelor ne kiya tha. Is film ki nirmaata company ko Central Intelligence Agency (CIA) ne kuch hissa fund kiya tha, jinhon ne asal kahani mein bhi kuch Changes kiye the Yeh film George Orwell ke 1945 ke famous novella Animal Farm par hai.

Film mein Gordon Heath ne narration di, jabke saare janwaron ki awaazon ko Maurice Denham ne dub kiya tha.

 

animal fram
Animal Farm (1954) 

Film ke screen rights Orwell ki wife Sonia Orwell se khareede gaye jab un se Office of Policy Coordination (CIA ka aik cultural wing) ke person ne contact kiya. Is wing ka Motive tha ke fun aur Culture ke zariye communism ka tor kiya jaaye.

Shuru mein yeh film commercial tor par kamyab nahi hui aur profit kamane mein 15 saal lag gaye, lekin baad mein yeh taleemi idaron (Educational institutions )mein aksar dikhai jaane lagi.

Kahani Ka Khulasa
Manor Farm ko Mr. Jones naam ka sharabi malik behtar andaaz mein nahi chala raha hota.. Uske inteqal ke baad, Snowball naam ka suar sab janwaron ko lead karta hai jinhon ne Mr. Jones ko farm se bhaga diya aur farm ka naam badalkar “Animal Farm” rakh diya.

Suru mein sab kuch acha chalta hai aur sab barabari ka ehsaas karte hain. Magar dheere dheere, Napoleon naam ka suar gupt tor par taqat haasil karta hai. Woh Snowball ko farm se nikaal deta hai aur tamaam faislay khud lene lagta hai.

Farm ke qawaneen dhire dhire badle jaate hain taake suaron ke faida mein ho sakein, jaise: “No animal shall sleep in a bed” ko badalkar “with sheets” jor diya jata hai.

Napoleon hens ke anday trade karta hai, unki baghawat ko dabaata hai aur dusre janwaron par zulm karta hai. Boxer naam ka mazdoor ghora, lagataar mehnat karta hai jab tak woh zakhmi ho kar gir nahi jata. Usse “ilaaj” ke bahane glue factory bhej diya jata hai, jahan uski maut hoti hai. Suar is maut ka jashn manate hain.

Aakhir mein, suar insano ki tarah chalne lagte hain, kapre pehente hain, aur unka rawayya Mr. Jones jaisa ho jata hai. Benjamin (gada) ko ahsas hota hai ke asli inqilab ka maqsad to reh gaya. Woh dusre janwaron ke sath milkar suaron ko khatam karta hai aur farm ko wapas azaad karta hai.

Tayari aur Tameer. Producer Louis de Rochemont ko CIA ne project ka zimma diya. Film UK mein shoot ki gayi taake kuch financial constraints se nijaat mile.

John Halas aur Joy Batchelor ko directorial zimmedaari is liye mili kyunke woh Marshall Plan aur British Ministry of Information ke sath kaam kar chuke the

Animation ka kaam London mein hua aur camera work Gloucestershire mein kiya gaya. Philip Strapp aur Lothar Wolf ne kahani mein tabdiliyan ki, jisme ending mein janwar suaron ke khilaf wapas baghawat karte hain – ek aisi cheez jo Orwell ke asal novel mein nahi thi.

Tabdiliyaan aur Mukhtalif Nazariyat
Film ke liye Snowball ka kirdar asliyat mein zyada hero-type dikhaya gaya tha, lekin CIA ne is par etiraz karte hue usse zyada negative banane ka kaha. Yeh bhi chaha gaya ke film mein sab insani kirdar buray na dikhayein jayein taake American kisanon ko nagawaar na guzre. Is wajah se sirf Mr. Jones ko corrupt dikhaya gaya.

Rihayi aur Asar
Film ko UK mein “U” rating mili, jo har age group ke liye munasib hoti hai. Promotion mein is baat par zor diya gaya ke yeh ek British production hai, na ke Hollywood ka hissa.

2002 mein Simon Schama ke BBC program A History of Britain mein is film ke kuch hisson ko dikhaya gaya tha. 1990s mein Cold War historian Tony Shaw ne yeh maloom kiya ke film ki funding aur script alteration CIA ne ki thi jisme unhone intentional anti-communist message daala.

Animal Farm (1954)

Animal Farm 1954 ki ek animated film hai jo George Orwell ke 1945 ke novel par Based on hai. Isay John Halas aur Joy Batchelor ne direct kiya tha, jabke CIA ne ise fund kiya aur kahani mein tabdeeli bhi ki. Kahani mein janwar apne zalim malik.

Mr jones ke khilaf ho jate hai  Shuru mein barabari hoti hai, lekin suar Napoleon taqat apne haath mein le leta hai

https://newstimetv.com/one-punch-man-season/

https://www.goodreads.com/book/show/170448.Animal_Farm

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *